Rang De Loans

Rang De

Friday, April 28, 2006

Ek din main Dilli pahuncha

Ek din, mein dilli pahuncha,

Station pe ek coolie se bahar jane ka rasta
pooncha,
Coolie ne kaha bahar jaake poocho.
Maine khud hi rasta doondh liya,
Bahar jaake taxiwale se pooncha,
"bhai saab Aagre ka kitna loge?"
jawab mila, "bechna nahi hai.."
Taxi chod, maine bus pakad li,
conductor se pooncha,

"ji.. kya mein cigarette pi sakta hoon?"
wo gurrra kar bola,
"hargiz nahi, yaha cigarette pina mana hai."
Maine kaha, "par wo janab to pi rahe hai!"
Phir se gurrrraya, " usne mujhse pooncha nahi
hai."Aagre pahucha, hotel gaya.
Manager se kaha, " mujhe room chahiye, satve
manzil pe." Manager ne kaha,
"rahane ke liye ya koodne ke liye?"
Room pahucha, waiter se kaha,
"ek paani ka gilas milega." Usne jawab diya,
"nahi sahab, yaha to saare
kanch ke milte hai."
Hotel se nikla dost ke ghar jaane ke liye,
Raste me ek sahab se pooncha, "janab, ye
sadak kaha ko jaati hai?"
Janab hans kar bole, " peechle bis saal se
dekh rahan hoon, yahi padi hai...."

Dost ke ghar pahucha, to mujhe dekhte hi
chownk pada Usne poocha,
"dilli kaise aana hua?" Ab tak to mujhe bhi
aadat pad gayi thi, Maine
bhi jawab diya, "Train se.."
Meri aaobhagat karne ke liye dost ne apni
biwi se kaha, "areeee sunti
ho... mera dost pehli baar ghar aaya hai,
uuse kuch taja taja khilao..
"sunte hi bhabhiji ne ghar ki sari khidkiya
aur darwaje khol diye.
Kaha, "taji hawa kha lijiye."
Dost ne phir se badi pyar se biwi se kaha,
"areeee sunti ho...inhe jara apna chalis saal
purana aachar to dikhana."
Bhabiji ek batli me rakha aachar le aayi,
Maine bhi apnapan dikhate hue bhabiji se
kaha, "bhabhiji, aachar sirf dikhayengi,
chakhayengi nahi....?"
Bhabiji ne taak jawab diya,
"yuhi agar sab ko chakhati
to aachar chalis saal
purana kaise hota..?"
Thodi der baad dekha,
bhabiji apne pote ko soola rahi thi,
Saath me lori bhi ga rahi thi,
"diploma so ja, diploma so ja."
Lori soon mein hairan hua aur dost se poocha,
"yaar ye diploma kya hai?"
Dost ne jawab diya,
"mere pote ka naam, Beti bambai gayi thi,
diploma lene ke liye aur saath mein ise le aayi,
isiliye hamne iska naam diploma rakh diya."
Phir maine pooncha,
"aajkal tumhari beti kya kar rahi hai?"
Dost ne jawab diya,
"bambai gayi hai, degree lene ke liye...."

1 comment:

Yagya Datt Sharma said...

very gud chetan sir...
aap jaise logo ki hi jaroorat hai is india ko...